Dua E Hazrat Ali Lyrics & Tabs by Mesum Abbas
Dua E Hazrat Ali
guitar chords lyrics
Sakhi Abbasi jari Ya Elahi Mujhay de
Ek jari chahiye tarikh e shuja'at ke liey
karbala mein mere Shabir nusrat ke liey
aur namoos e Payambe(ص) ki hifazat ke liey
Ke liey
Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy
Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho
Shukar sad shukar tera shabbar o shabbir diye
Betiyan ki hain ata Zainab o Kulsoom (s.a) mujhay
Baad iske meri bas aik dua k badle
Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy
Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho
Aina sabro shuja'at ka banana mera
Hubaho meri hi tasweer ho bacha mera
Usko dekhu toh nazar aaye sarapa mera
Aina sabro shuja'at ka banana mera
Hubaho meri hi tasweer ho bacha mera
Usko dekhu toh nazar aaye sarapa mera
Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy
Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho
Koi bay yaar o madadgar agr hojaye
Ilteja bahr e madad apni zaban laye
Mujhko aawaz koi de woh madad ko aaye
Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy
Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho
Zindagi jiski guzar jaye alamdari mein
Apnay baazu bhi kata de jo fidakari mein
Sab se aagy nazar aaye jo wafadari mein
Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy
Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho
Naam uska ho jin hoton peh wahan piyas na ho
Koi umeed na tootay koi bay aas na ho
Yaad kar ke usy tanahi ka ehsas na ho
Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy
Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho
Mere Malik mere honton jab aaye yeh dua
Meri aankhon me nazar aany lagi karbobala
Mera shabbir musibat mein khara hai tanha
Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy
Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho
Jab woh karbal mein ho chobis pehar ka piyasa
Har qadm usay esaar ka jazba dena
Aur laal ke haaton ko salamat rakhna
Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy
Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho
Aye kahain hogai maqbool dua e Haider(a.s)
Usko mesum kaha hai Fatima Zehra (s.a) ne pisar
Aarzo ki thi Ali(a.s) ne jo huzoor e Dawar
Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy
Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho
Ghazi Abbasi (a.s) jari Ya Elahi mujhe dy