Rangrez (Wadali Bros) Lyrics & Tabs by Wadali Brothers
Rangrez (Wadali Bros)
guitar chords lyrics
Aye rangrez mere, rangrez mere
ek baat bata rangrez mere
ye koun se paani mein tune
koun sa rang ghola hai,
ye koun se paani mein tune
koun sa rang ghola hai
ke dil ban gaya saudai,
aur mera basanti chola hai,
mera basanti chola hai,
Ab tumse kya main shikwa karun,
Maine hi kaha tha zid karke, rang de chunri pi ke rang mein
rang de, rang de chunri pi ke rang mein
Par mue kapas pe rang na ruke
rang itna gehra tera Ki jaano jigar tak bhi rang de.
Jigar rang de…
Par mue kapas pe rang na ruke
rang itna gehra tera Ki jaano jigar tak bhi rang de.
Jigar rang de…
Rangrez tune afeem kya hai kha li,
Jo mujhse tu ye pooche ke koun sa rang?
Rangon ka karobaar hai tera, ye tu hi to jaane, koun sa rang.
Mera balam rang, mera saajan rang,
Mera katik rang, Mera aghan rang, mera phagan rang,
mera saawan rang,
Pal pal rangte rangte, rangte mere atho pahar manbhawan rang
Ek boond ishqiyan daal koi tu, O…,
Ek boond ishqiyan daal koi,
Mera saaton samandar jaye rang,
Meri hadd bhi rang, sarhad bhi rang,
Behad rang de, anhad bhi rang de,
Mandir masjid maikad rang,
Rangrez mere, Rangrez mere
Rangrez mere do ghar kyun rahe,
Ek hi rang mein dono ghar rang de, dono rang de,
Pal pal rangte rangte rangte rangte naihar peehar ka aangan rang
Pal pal rangte rangte rangte rangte mere atho pahar manbhawan rang
Neende rang de, karwat bhi rang,
Khwabon pe pade salwat bhi rang
Ye tu hi hai, hairat rang de,
Aa dil mein sama hasrat rang de,
Fir aaja aur vaslat rang de,
Aa na sake to furqat rang de
Darde hijra liye dil mein darde, hijra liye dil mein darde main zinda rahu,
Zinda rahu, zurrat rang de.
Rangrez mere, Rangrez mere,
Tera kya hai asal rang, ab to ye dikhla de,
Mera piya bhi tu, meri sej bhi tu,
Mera rang bhi tu, rangrez bhi tu,
Meri naiyaa bhi tu, majdhar bhi,
tujhmein dooboo, tujhmein ubarun,
Teri har ek baat sar aankhon pe,
Mera malik tu, mera sahib tu,
Meri jaa meri jaan, tere haatho mein,
Mera qatil tu, mera munsif tu,
Tere bina kuch sujhe na, Tere bina kuch sujhe na,
Meri raah bhi tu, mera rehbar tu,
Mera sarvar tu, mera aqbar tu,
Mera mashrik tu, Mera magrib tu,
Zahid bhi mera, murshid bhi tu,
Ab tere bina main jaun kahan,
Ab tere bina main jaun kahan,
Ab tere bina main jaun kahan,
Tere bina tere bina tere bina……
Aye rangrez mere, rangrez mere
ek baat bata rangrez mere
ye koun se paani mein tune
koun sa rang ghola hai,
ye koun se paani mein tune
koun sa rang ghola hai
ke dil ban gaya saudai,
aur mera basanti chola hai,
mera basanti chola hai.