Mai jaha rahu Lyrics & Tabs by Rahat Fateh Ali Khan

Mai jaha rahu

guitar chords lyrics

Rahat Fateh Ali Khan

Album : Compilation sufi PlayStop

Mai jahan rahu, mai kahee bhee hu
Teree yaad saath hai
Jaane kiski talaash unakee aankhon me thee

Aaraju ke musaafir bhatkate rahe
Jitane bhee woh chale, utane hee bichh gaye rah me faasale
Kwaab manjil thee, aur manjile khwaab thee
Raston se nikalate rahe raaste
Jaane kis waaste aarju ke musaafir bhatkate rahe
Mai jahan rahu, mai kahee bhee hu, teree yaad saath hai
Kisee se kahu, ke nahee kahu, yeh jo dil kee baat hai
Kehne ko saath apane ek duneeya chalatee hai
Per chhupke iss dil me tanhaayee palatee hai
Bas yaad saath hai, (teree yaad saath hai -3)
Mai jahan rahu, mai kahee bhee hu, teree yaad saath hai
Koyee puraanee yaad meraa rasta roke mujhse kehatee hai

Bas yaad saath hai, (teree yaad saath hai -3)
Mai jahan rahu, mai kahee bhee hu, teree yaad saath hai
Koyee puraanee yaad meraa rasta roke mujhse kehatee hai
Itanee jalatee dhup me yu kab tak ghumoge
Aayo, chalke bite dino kee chhanv me baithe
Uss lamahe kee baat kare, jisame koyee phul khila tha
Uss lamhe kee baat kare ke
Jisme kisee aawaaj kee chandee khanak uthee thee
Uss lamhe kee baat kare ke, jisme kisee najaro ke motee barse the
Koyee puraanee yaad meraa rasta roke mujhse kehatee hai
Itanee jalatee dhup me yu kab tak ghumoge
Kahee toh dil me yaado kee, ek sulee gad jaatee hai
Kahee har ek tasvir bhahut hee dhundalee pad jaatee hai
Koyee nayee duneeya ke naye rango me khush rehta hai
Koyee sab kuchh paake bhee yeh mann hee mann kehta hai
Kehne ko saath apane ek duneeya chalatee hai
Per chhupke iss dil me tanhaayee palatee hai
Bas yaad saath hai, (teree yaad saath hai -3)
Sach toh yeh hai kasur apana hain, chand ko chune kee tamanna kee
Aasamaan ko jamin par maanga, phul chaaha kee paththaro pe khile
Kaanto me kee talaash khushbu kee, aarju kee ke aag thandak de
Barf me dhundate rahe garmee, khwaab jo dekha chaaha sach ho jaaye
Isakrr hamko saja toh milanrr hee thee, sach toh yeh hai kasur apana hain
Kahee toh bite kal kee jade, dil me hee utar jaatee hai
Kahee jo dhage tute toh malaaye bhikar jaatee
Koyee dil me jagah nayee, baato ke liye rakhta hai
Koyee apni palko par yaado ke diye rakhta hai
Kehne ko saath apane ek duneeya chalatee hai
Per chhupke iss dil me tanhaayee palatee hai
Bas yaad saath hai, (teree yaad saath hai -3)

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0101 sec