Bharat Bhagya Vidhata Uth Lyrics & Tabs by Shankar Mahadevan

Bharat Bhagya Vidhata Uth

guitar chords lyrics

Shankar Mahadevan

Album : Aisa Des Hai Mera - Independence Day Special hindi PlayStop

Teen rang thhe
Ek chakr tha
Purkho ne jinhe tha seencha

Ek khwaab tha
Charkhe pe buna
Apna watan Hindustaan
Hai pukarta sunlo
Hai pukarta. Hai pukarta sunlo
Ek khwaab tha
Ye khwaab bahut naazuk hai ji
Yeh maangta hifaazat hai ji
Yeh aas liye hai khada
Haule se humko keh raha
O Bharat bhagya vidhata, Uth
Mat moond re apni aankhein, Uth

Haule se humko keh raha
O Bharat bhagya vidhata, Uth
Mat moond re apni aankhein, Uth
Zameen-o-Aasmaan ki kasam
Tujhe watan ka haath uth
Ek khwaab tha
Charkhe pe buna
Apna watan Hindostan
Hai pukarta. Hai pukarta sunlo
Hai pukarta. Hai pukarta sunlo
Ek khwaab tha.
Hai desh tera ghayal pada
Fariyaadi banke waqt khada
Hai faisla tere haathon mein
Kis mod mudega raasta
Punjab Sindh Gujarat Maratha
Dravid Utkal Banga, Uth
Gaani hai tujhe jai-gaatha, uth
Ek khwab tha, charkhe pe buna
Apna watan Hindostan
Hai pukarta. Hai pukarta sunlo
Hai pukarta. Hai pukarta sunlo
(O Bharat bhagya vidhata, Uth
Mat moond re apni aankhein, Uth
Zameen-o-Aasmaan ki kasam
Tujhe watan ka haath uth
Punjab Sindh Gujarat Maratha
Dravid Utkal Banga, Uth
Gaani hai tujhe jai-gaatha, uth
Bharat bhagya vidhata, Uth)

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0339 sec