Aye Khuda (From "Murder 2") Lyrics & Tabs by Kshitij Tarey, Saim Bhat & Mithoon

Aye Khuda (From "Murder 2")

guitar chords lyrics

Kshitij Tarey, Saim Bhat & Mithoon

Album : Best of Emran HashmiPlayStop

Kaisi khala ye dil mein basi hai
Ab toh khatayein fitrat hi si hai
Main hi hoon woh jo rehmat se gira

Aye Khuda gir gaya gir gaya
Main jo tujh se door huaa
Lut gaya, Lut gaya.
Aye Khuda... aa...
Gir gaya, gir gaya
Main jo tujh se door hua
Lut gaya, lut gaya.
Kaisi khala ye dil mein basi hai
Ab toh khatayein fitrat hi si hai
Main hi hoon woh jo rehmat se gira
Aye Khuda aa. gir gaya gir gaya
Main jo tujhse door huaa

Main hi hoon woh jo rehmat se gira
Aye Khuda aa. gir gaya gir gaya
Main jo tujhse door huaa
Lut gaya lut gaya...
Aye Khuda... aa...
Aye Khuda... aa...
Itni khatayein tu lekar chala hai
Daulat hi jaise tera ab Khuda
Har pal bitaaye tu jaise hawa hai
Gunaah ke saaye mein chalta raha
Samandar sa behkar tu chalta hi gaya
Teri marzi poori ki, tune haan har dafaa
Tu hi tera mujrim bandeya
Aye Khuda gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lut gaya, Lut gaya.
Kyun judtaa iss jahaan se tu
Ik din ye guzar hi jayega
Kitna bhi samet le yahaan
Mutthi se phisal hi jayega
Har shaqs hai dhool se bana
Aur phir usme hi jaa mila
Yeh haqiqat hai tu jaan le
Kyun sach se muh hai pherta
Chahe jo bhi hasrat poori kar le
Rukegi na fitrat yeh samajh le
Mit jayegi teri hasti
Bar na payega yeh dil bandayaa
Aye Khuda gir gaya Gir gaya
Main jo tujhse door huaa
Lut gaya Lut gaya.
Gar tu soche tu hai gira
Mere haath ko thaam, Uth zara!
Tere dil ke dar pe hoon khada
Mujhko apna le tu zara
Tu kahe tu hai saaye se ghira
Teri raahon ka main noor hoon
Tere gunaha ko khud pe le liya
Meri nazron mein bekasoor tu
Aisa koi manzar tu dikh la de
Mujhe koi shaqs se milvaa de
Aisa koi dil se tu sunwa de
Ki zakham koi usey na mila
Aye Khuda. gir gaya gir gaya
Main jo tujhse door huaa
Lut gaya, Lut gaya.
Aaa. Aa...

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0060 sec