Aa Gaya Mere Hothon Pe Naam-E-Nabi Lyrics & Tabs by Nusrat Fateh Ali Khan

Aa Gaya Mere Hothon Pe Naam-E-Nabi

guitar chords lyrics

Nusrat Fateh Ali Khan

Album : Tum Ho Jane Ali qawwali PlayStop

Shah-E-Bataha Raahat-E-Jaan Hain Dilon Ka Chain Hain
Woh Muhammad Mustafa Hain Sayyed-E-Kaunain Hain
Aa Gaya Mere Hothon Pe Naam-E-Nabi Duur Dil Se Har Ik Ranj-O-Gham Ho Gaya

Maine Mushkil Mein Jab Unko Aawaaz Di Kamli Waale Ka Mujh Pe Karam Ho Gaya
Chaaha Jab Shaah-E-Madina Ka Saaya Maine Gaib Se Paaya Hai Rehmat Ka Ishaara Maine
Na Kiya Gairon Ka Ehsaan Gawara Maine Waqt-E-Mushkil Jo Unhein Dil Se Pukara Maine
Marhaba Shah-E-Kaunain Ka Aasra Aaj Baatil Ki Hum Tak Na Aayi Kabi
Kaali Kamli Ka Saaya Hamare Liye Unki Rehmat Se Abr-E-Karam Ho Gaya
Hum Aasiyon Pe Chaayega Baadal Ke Roop Mein
Ummat Ke Kaam Aayega Mehshar Ki Dhoop Mein
Banke Haadi Aaye Duniya Mein Jo Mehboob-E-Khuda
Aalam-E-Insaaniyat Par Pyaar Ka Saaya Hua
Beete Chauda Sau Baras Lekin Khuda Ke Fazl Se
Abr-E-Rehmat Ki Tarah Hai Aaj Tak Chhaya Hua
Kaali Kamli Ka Saaya …

Beete Chauda Sau Baras Lekin Khuda Ke Fazl Se
Abr-E-Rehmat Ki Tarah Hai Aaj Tak Chhaya Hua
Kaali Kamli Ka Saaya …
Jiski Zubaan Pe Har Ghadi Zirk-E-Habib Hai
Rabb Ke Habib Se Woh Bahut Hi Kareeb Hai
Saaya Hai Uspe Rehmat-E-Parvardigaar Ka
Woh Kitna Khushnaseeb Hai Jisko Naseeb Hai
Kaali Kamli Ka Saaya …
Yeh Saaya Aib Hum Sab Ke Chhupata Hai Chhpayega
Yeh Saaya Besaharon Par Taras Khata Hai Khayega
Yeh Har Aafat Se Ummat Ko Bachata Hai Bachayega
Yahaan Bhi Kaam Aaya Hai Wahaan Bhi Kaam Aayega
Kaali Kamli Ka Saaya Hamare Liye Unki Rehmat Se Abr-Karam Ho Gaya
Zulm Laakhon Bilal-E-Habi Ne Sahe Aur Har Zulm Par Mojeza Yeh Hua
Sun Ke Naam-E-Nabi Dil Ko Chain Aa Gaya Bekali Mit Gayi Dard Kam Ho Gaya
Sun Ke Naam-E-Nabi Dil Ko Chain Aa Gaya …
Har Dard Ki Har Gham Ki Dawa Naam-E-Muhammad
Taasil Mein Hai Misl-E-Dua Naam-E-Muhammad
Beemar Ko Deta Hai Shiva Naam-E-Muhammad
Kya Naam Hai Aye Salle Allah Naam-E-Muhammad
Sun Ke Naam-E-Nabi Dil Ko Chain Aa Gaya …
Kya Kya Na Zaalimon ne Sataya Bilal Ko
Jalti Huyi Zameen Par Litaya Bilal Ko
Qaasid Ne Mustafa Ke Wahaan Jaa Ke Pyaar Se
Paighaam Jab Nabi Ka Sunaya Bilal Ko
Sun Ke Naam-E-Nabi Dil Ko Chain Aa Gaya …
Aa Gaya Mere Hothon Pe Naam-E-Nabi Duur Dil Se Har Ek Ranj-O-Gham Ho Gaya

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0115 sec